Blogs

24 Jun 2009

to some1 very special....

Submitted by iffi99

tanha rahoon mein chalne waley manzil ka pata kahan jante hain
ham to thokar khaney ko hi zindgi ka samaan jante hain

tum rehney wale ho kis nager ke kahan se aye mery dunia mein
ham to koe aisi zameen na aisa asmaan jante hain

hamry dil mein rehti hain sada se murjhaey howi umeedein
kab bahar ati hay kia janein ham to sirf khazan jante hain

dunia samjhti hay hamein kia kia khabar loog kia kahte hain
ham to tery har lafz ko apne liay aakhri farman jante hain

kabe masjid nahe gaey kabe mandir nahe daikha
ham to sirf tery naam ke azaan jante hain

17 Jun 2009

lines of love

Submitted by zafaa

jab dil ne ummeed karna chhod diya tha.....
jab zindagi ne himaat thod diya tha....
tab rab ne pechaan karaayi ek aise rishtey se....
aur mujhe mila di mere farishtey se....
kaha ki is heere ko sambhalke rakhna....
hamesha ise khud se zyaada parakhna...
tabse bas gaya wo kiran mere zehan mein...
vaapis le aaya ummeed mere man mein...
jeena ki nayi wajah mila....
na rahi koi shiqwa nahi koi gila....
utar aaye wo yu dil ke zameen par....
jaise jheel mein utharta ho chand kahin par....
unhe kya bataein ki kaisi kushi mili he.....
kaise jazbaat ki kali ab jaake khili he...

Pages

Subscribe to RSS - blogs