Comprehensive English Urdu Dictionary with Advance Search

Show Keyboard
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z
141    destruction (Noun)
ناس۔ ستیاناس۔ بناس۔ غارتی۔ تخریب۔ معدومیت۔ چھئے
    destruction of crops (by passing of troops)
بربادیٴ کاشت۔ پائمالی۔ کھیتی روندن
    destruction or wanton injury of property
اتلاف یا عمداً نقصان جائیداد
142    mania (Noun)
سز۔ جنون۔ دیوانگی۔ خبط۔ (مالیخولیا۔ مانیا)
    mania a potu, n.
جنون جو شراب خواری سے ہو
143    dry-salter (Noun)
نمکین یا سوکھے گوشت اور اچار وغیرہ کا بیچنے والا
144    osseous (adjective)
ہڈی کا۔ ہڈی سا۔ استخوانی۔ عظمی
145    doubtingly (adverb)
شک سے۔ اشتباہاً
146    fragmental (adjective)
ٹکڑوں یا چھانٹ کا بنا ہوا
147    caoutchone (Noun)
ربڑ
148    residential (adjective)
سکونتی۔ قابل بود و باش۔
149    womanizer (Noun)
عورتوں کے پیچھے پھرنے والا
150    incloister (verb active)
کوٹھے یا حجرے میں بند کرنا
 

Pages

Comments

Apni tanhai ko merey naam pay abad karey
Kon ho ga jo mujhey us ki tarha yaad karey

Dil ajab shehar kay jis par bhi khula dar iss ka
Woh musafir issay har simmat sey barbaad karey

Apnay qatil ki zahanat sey preshaan hun main
Roz ik maut naye tarz ki aejaad karey

Jab lahuu bol parey iss kay gawahon kay khilaaf
Qazi-e-shehar kuch iss baab mein irshaad karey

Uss ki muthi mein bohat roz raha mera wajood
Meray saahir se kaho ab mujhey azaad karey.

Shahzad chaudhry

khuli aankh mein sapna jhaankta hai
wo soya hai ke kuch kuch jaagta hai

teri chahat ke bheege junglon mein
mera tan, more ban kar naachta hai

mujhe har kaifiyat mein kyun na samjhe
wo mere sab hawale jaanta hai

main uski dastaras mein hon, magar wo
mujhe meri raza se maangta hai

kisi ke dhyaan mein dooba hua dil
bahane se mujhe bhi taalta hai

sarak ko chore kar chalna parega
ke mere ghar ka kaccha raasta ha.

Shahzad Chaudhry

Kuch der main tujh say kat gyee thi
Mehwer say zameen hatt gyee thi

Tujh ko bhi na mil saki mukamil
Main itney dukhon mein but gyee thi

Shayad ke hamein sanwaar deti
Jo shab aa kar palat gyee thi

Rasta tha whi pay bin tumharay
Main gard mein kaisay att gyee thi

pattjharr ki gharri thi aur shajar say
Ik bail ajab lipatt gyee thi

Shahzad chaudhry

Amal se bhi maanga, wafa se bhi maanga
Tujhey main ney teri razaa se bhi maanga

Na kuch ho saka jub DUA se bhi maanga
Qasam hai KHUDA ki KHUDA se bhi maanga.

Shahzad Chaudhry

Ae chand zra ik kam tu krna,
os shehr m jana,
jis shehr m koi apna rehta hai'
Jo muj ko apna kehta hai,
Jis ke ankhon m mery spny hn,
Jis ke sary dukh sukh apny hn,
Jo is waqat skoon ke neend sota hoga,
Uski payar bhari se ankhon ka,
chup k se ik bosa lena or phir tum kehna,
Koi "YAD" krta hai

Kbhi To Laot kr aao"
"Mujhe bus Itna Samjhao"
"Kahan se Seekh Lee Tum ne
"Ada Mujh ko Bholanay Ki"
Tumhein Mujh se Shikwa Tha Ya Koi B Shikayat Thi
"Zehmat To Zara See Thi
"Na Koshish Ki Batany Ki"
"Bhala Youn Chhor Kr Apna, Koi Apno Ko jata Hai
"Musalsal Dukh ki Barish mein, koi Jeewan Bhar Rulata hai"
"abhi Rait geeli hai"
"abhi sub naqsh Baqi hain"
"gaey Qadmoon Pe Laot Aao"
"Mujhe bus Itna samjhao,
"kahan se seekh li Tum ne Ada mujh ko Bholanay ki ..?
Farhan

Saawan bhi mera tum ho,Meri piyas bhi tum ho
Sehra ke baadalon main chupi aas bhi tum ho

Tum yun to bohatdoor,bohat door ho mujh se
Ehsaas ye hota hai mere pass bhi tum ho

Har zakham ki aaghosh men hai dard tumhara
Har dard men taskeen ka ehsaas bhi tum ho

Hijr ka Tara doob chala hay Dhalne lagi hay rat wasi.
Qatra qatra baras rahe hai. Ashkon ki barsat wasi. Tere bad mujko ye dunya wale Pagal kar dein gay.
Khushboo k des me mujko le chal apne sath wasi.

Yun he chup ki mohar laga kr kab tak gum-sum betho gay???
khamoshi se dam ghutta hay Chero koi bat wasi.

Aaj to uska chehra b kuch badla badla sa lagta hay
Mausam badla, Dunya badli. Badal gaye halaat wasi.

Mere ghar ye khushboo ka raqs usi k he dam se hai
Uske sath h chali jaye gi Phuloon ki barat wasi.

Chor wasi ab unki yadein tujko pagal kar dein gi.
Tu qatra hai,wo darya hai.... Teri kya Oqat wasi..........!!!!!

Saawan bhi mera tum ho,Meri piyas bhi tum ho
Sehra ke baadalon main chupi aas bhi tum ho

Tum yun to bohatdoor,bohat door ho mujh se
Ehsaas ye hota hai mere pass bhi tum ho

Har zakham ki aaghosh men hai dard tumhara
Har dard men taskeen ka ehsaas bhi tum ho

Ye d\rd mit gya to phir...
Ye zakhm sil gya to phir...

Bichr k sochta hoon mein...
Wo phr sy mil gya to phir...

Mai titliyon k Shehr may rahon to mujh ko fiqr hy...
Wo phool jo khila nahi,wo phool khil gya to phr...

Main is liye to aj tak Sawal b na kr ska...
Agr mere sawal ka jwab mil gya to phr...

Ye theek hy k laut kr mery he dil may ao gy...
Magar ye soch lo zara, Badal ye dil gya to phr ?

Pages