10 Jan 2007

Chahat

Submitted by ashok_ryk2

DOSTI mosam nahi,

k apni muddat pori kare aor

rukhsat ho jay,

DOSTI saawan nahi,
k toot kar barsay aor

tham jae,

DOSTI Aag nahi,
k sulgy,bharkey aor

bujh jae,

DOSTI aftab nahi,
k chamkey aor

doob jae,

DOSTI phool nahi,
k khiley aor

phir murjha jae,

DOSTI to saans hai jo challe to sab kuch

toot jae to kuch bhi nahi....

7 Jan 2007

Hello All,

Can anyone tell me what is the answer of this, it is an urdu word?

Din Se Bhi Zyada Roshan Hai,Raat Se Zyada Siah Hai, Kaho Toa Haram Hai, Piyo Toa Hallal Hai, Mard Use Din Mein Teen Bar Karta Hai, Aurat Puri Zindagi Mein Ek Bar Karti Hai, Quran Mein Uska Zikar 5 Bar Aaya Hai, Meem Se Shuru Hota Hai aur 5 harfon ka Lafz Hai?

Please need an answer desperately

Happy New Year

Bilal

Pages

Subscribe to Urduseek.com English Urdu Dictionary انگریزی اردو لغت RSS