Comprehensive English Urdu Dictionary with Advance Search
Show Keyboard
131    plenty (adjective)
    see plentiful 1.
بہت
132    waken (verb neutor)
جاگنا۔ بیدار ہونا
133    bubby (Noun)
چونچی ۔ دودھی ۔ پستان
134    stupefaction (Noun)
    1.
بیوقوفی۔ حماقت۔
    2.
بیہوشی۔ مورچھا۔ بدحواسی۔ بیخودی۔ مدہوشی۔
135    alien (adjective)
    1. foreign
پردیسی ۔ اوپری ۔ غیر ۔ اجنبی
    2. adverse
پھرا ہوا۔ بیمکھ ۔ بردھ ۔ برگشتہ ۔ ناگوار ۔ زبون ۔ مکروہ ۔ ضد ۔ متنفر ۔ مخالف ۔ خلاف ۔ برعکس
136    supervenient (adjective)
اوپر آنے والا۔ زائد۔ خارجی۔
137    collapse (Noun)
گر کے ملنا ۔ بِھٹنا ۔ ٹکرا جانا ۔ ٹکر کھانا ۔ دھڑام سے گرنا
138    fallible (adjective)
بھولنے جوگ۔ چوکنے والا۔ خطا پذیر۔ قصور وار۔ خطا کار
139    well-dressed (adjective)
خوش لباس۔ خوش پوشاک۔ پہنا اوڑھا
140    value (Noun)
    1. utility
وصف۔ فائدہ۔ خوبی۔ کام۔ قدر
    2. import
معنی۔ مطلب۔ ارتھ
    3. price
قیمت۔ مول۔ در
    4. worth
مالیت
    value received
دام بھر پائے
    value of suit
تعداد دعویٰ۔ مقدار دعویٰ۔ تعداد۔ زر مطالبہ
    face value
قیمت معروفہ۔ عام قیمت
Comments
lines of love
jab dil ne ummeed karna chhod diya tha.....
jab zindagi ne himaat thod diya tha....
tab rab ne pechaan karaayi ek aise rishtey se....
aur mujhe mila di mere farishtey se....
kaha ki is heere ko sambhalke rakhna....
hamesha ise khud se zyaada parakhna...
tabse bas gaya wo kiran mere zehan mein...
vaapis le aaya ummeed mere man mein...
jeena ki nayi wajah mila....
na rahi koi shiqwa nahi koi gila....
utar aaye wo yu dil ke zameen par....
jaise jheel mein utharta ho chand kahin par....
unhe kya bataein ki kaisi kushi mili he.....
kaise jazbaat ki kali ab jaake khili he...
sochte he ki inhe kya naam de....
kya pukare inhe....kya penaam de...
inhe boond zindagi ke kahu...
ya afsaana dillagi ke kahu...
inhe chaand sitaara bole.....
ya jashn-e-bahaara bole...
kaun khushnasseb he jise inka pyaar hoga haasil.....
jalti he ye jaan......ke kaash hum hote inke kaabil....
wo noor he andherepan mein.......
wo bahaar he banjaarepan mein......
unhe jaan kahe ya kahen unhe mere dil ke soone armaan......
bus itna to ab keh sakte he.....ki wo he sirf....aur sirf mere _______......
Meri Zindgi ka Taswwur meray
Meri Zindgi ka Taswwur meray hath ki lakirein Inhein Kash tum badalty to kuch aur bat hoti
Ye Khulay Khulay se Gaisoo, Inhein Lakh tum Sanwaro Mere Hath se sanwarty, To kuch aur bat hoti
Main Tera Aaiyna tha, main Tera Aainya hon, Mere samnay Sanwarty, to Kuch aur bat hoti
Abhi aankh hi larri thi, k Gira Diya Nazar se, Ye silsila Barhaty To kuch aur bat hoti
Humein apni Zindgi ka, kuch Gham nhi hai lekin Tere aastan pe Martay, to kuch aur bat hoti..
Farhan
Kuch nhi chahye tujhse aaye
Kuch nhi chahye tujhse aaye meri umre ravan
Mera Bachpan mere Jugnu meri Guriya la day
Naya musam meri Binai Ko Tasleem nhi
Meri Ankho ko wohi Purana khawab la day
Kashti jan bhanwar mein hai kai barso se
Aaye Khuda ab to Dabo day ya Kinara la day..
farhan
Visit my site and contribute
ApnaFunClub
www.apnafunclub.com
--------------------------
Tmasha
www.tmasha.com
-----------------------------
ShahFun
www.shahfun.com
---------------------------------
:)
You can post your article without registration
*** Ab Kaisi Parda Daari ***
Ab kaisi parda daari , khabar aam ho chuki
Maa ki rida tu din howe neelam ho chuki
Ab aasmaa.n sey chadar-e shab aay bhi tu kiya
Be-chadari zameen pe ilzaam ho chuki
Ujrey howe diyaar pe phir kyu nigah hai
Iss kasht pe tu barish-e ikraam ho chuki
Suraj bhi us ko dhondh k wapas chala gaya
Ab hum bhi ghar ko lout chalain shaam ho chuki
Shimley sanbhaltey hi rahey maslehat passand
Hona tha jis ko piyaar main bad-naam ho chuki
Aankhen hain a ur subha talak tera intezaar
Mishal bad'dast raat terey naam ho chuki
Koh-e nida sey bhi sukhan utrey agar tu kiya
Na-sameoo.n main hurmat-e ilhaam ho chuki
Shahzad Chaudhry
*** youn hosla Dil nay hara kab ***
youn hosla Dil nay hara kab tha
Surtaan mera sitara kab tha
Lazem tha guzerna Zindge say
Bin zaher pieay Guzara kab tha
Kuch pel Ossay Or dekh saktay
Aashkoo ko mager Gawara kab tha
Hum khud bhi Judie ka Sabeb thy
Uss ka hi Kasoor sara kab tha
Aab or k Sath hai to kya dukh
Phely bhi koi humara kab tha
Ek naam pa zakhem khul Utthay thy
Qatil ki traf Ashara kab tha
Aaye Ho to Roshni howi hai
Iss baam pa koi tara kab tha
Dekha howa gaher tha per kisi nay
Dulhen ki trah Sunwara kab tha
Shahzad Chaudhry
*** Itna Yaad Hai ***
Bas itna yaad hai
Dua to janey kaunsi thi??
Zehen mein nahin
Bas itna yaad hai....
Keh do hatheliyan mili hui thin
Jin mein ek meri thi
Aur ek tumhari....
Shahzad Chaudhry
*** Be-WafaE ***
Hamaray Dermiyan Aysa Koi Rishta Nahi Tha
Teray Shanoun Pay Koi Chatt Nahi Thi
Meray Zimmay Koi Aangan Nahi Tha
Koi Waada Teri Zanjeer-e-Pa Ban-nay Nahi Pata
Kisi Iqraar Nay Meri Kalaii Ko Nahi Thaama
Hawa-e-Dasht Ki Manind
Tu Aazab Tha
Raastay Teri Marzi K Taabay Thaay
Mujhey Bhi Apni TanhaE Pay
Dekha Jaey Tou
Poora Tasarruf Tha
Mager Jab Aaj Tu Nay
Raasta Badla
Tou Kuch Aisa Laga Mujh Ko
K Jaisay Tu Nay Mujh Say Be-WafaE Ki...
Shahzad Chaudhry
dear shahzad
good choice
*** Taraash kar merey baazu Uraan Chor gaya ***
Taraash kar merey baazu Uraan Chor gaya
Hawa kay paas barhana kaman chor gaya
Rafaaqton ka meri uss ko dheyaan kitna tha
Zameen lay li magar asmaan chor gaya
Ajeeb shakhas tha, barish ka rung dekh kay bhi
Khuley dareechey pe ik phooldaan chor gaya
Jo baadlon sey bhi mujh ko chupaye rakhta tha
barhi hai dhoop tau bey-saaiban chor gaya
Nikal gaya hai khuley paaniyon ki taraf
Zameen kay naam khula baadban chor gaya
Uqaab ko thi gharaz faakhta pakrnay sey
Jo gir gyee tau yunhi neem-jaan chor gaya
Najanay konsa aasaib dil mein basta hai
Kay jo bhi thehra, woh akhir makaan chor gaya
Aqab mein gehra samandar hai, samnay jungle
Kis intha pe mera meharbaan chor gaya
Shahzad Chaudhry
Pages